chalte phirte hue qaside mile
chalte phirte hue qasīde mile
kuchh badan to bahut sajīle mile
aao lag kar gale bahut ro.eñ
aaj barsoñ ke baa'd bichhḌe mile
hausle 'ishq kyā batā.eñ tumheñ
saiñkaḌoñ zaḳhm kaise kaise mile
saath Thahrā nahīñ yahāñ koī
raah chalte na jaane kitne mile
rizq vā'da hai us ḳhudā kā magar
yuuñ nahīñ aise baiThe baiThe mile
chalte phirte hue qaside mile
kuchh badan to bahut sajile mile
aao lag kar gale bahut roen
aaj barson ke ba'd bichhDe mile
hausle 'ishq kya bataen tumhein
sainkaDon zaKHm kaise kaise mile
sath Thahra nahin yahan koi
rah chalte na jaane kitne mile
rizq wa'da hai us KHuda ka magar
yun nahin aise baiThe baiThe mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.