chamakte lafz sitaron se chhin lae hain
chamakte lafz sitāroñ se chhīn laa.e haiñ
ham āsmāñ se ġhazal kī zamīn laa.e haiñ
vo aur hoñge jo ḳhanjar chhupā ke laate haiñ
ham apne saath phaTī āstīn laa.e haiñ
hamārī baat kī gahrā.ī ḳhaak samjheñge
jo parbatoñ ke liye ḳhurdbīn laa.e haiñ
hañso na ham pe ki har bad-nasīb banjāre
saroñ pe rakh ke vatan kī zamīn laa.e haiñ
mire qabīle ke bachchoñ ke khel bhī haiñ ajiib
kisī sipāhī kī talvār chhīn laa.e haiñ
chamakte lafz sitaron se chhin lae hain
hum aasman se ghazal ki zamin lae hain
wo aur honge jo KHanjar chhupa ke late hain
hum apne sath phaTi aastin lae hain
hamari baat ki gahrai KHak samjhenge
jo parbaton ke liye KHurdbin lae hain
hanso na hum pe ki har bad-nasib banjare
saron pe rakh ke watan ki zamin lae hain
mere qabile ke bachchon ke khel bhi hain ajib
kisi sipahi ki talwar chhin lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.