chamakti raushni ne mahtab band kar diya
chamaktī raushnī ne māhtāb band kar diyā
kisī ne chashm-e-tar meñ jaise ḳhvāb band kar diyā
hamārī shāḳh-e-dil se us kī yaad TūTne lagī
havā-e-ġham ne dhuup kā 'azāb band kar diyā
hujūm-e-dostāñ meñ us ne har kisī kī baat kī
hamārā naam aayā to ḳhitāb band kar diyā
'adīm' kā.enāt bhī 'ajīb dars-gāh hai
kisī ne jī lagāyā to nisāb band kar diyā
chamakti raushni ne mahtab band kar diya
kisi ne chashm-e-tar mein jaise KHwab band kar diya
hamari shaKH-e-dil se us ki yaad TuTne lagi
hawa-e-gham ne dhup ka 'azab band kar diya
hujum-e-dostan mein us ne har kisi ki baat ki
hamara nam aaya to KHitab band kar diya
'adim' kaenat bhi 'ajib dars-gah hai
kisi ne ji lagaya to nisab band kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.