chaman chaman mein hain barpa ye kaise hangame
chaman chaman meñ haiñ barpā ye kaise hañgāme
kalī ke titlī ke bhauñroñ ke gul ke hañgāme
hazār rang ke phūloñ se baaġh kī zīnat
bahār aa.ī to laa.ī hai itne hañgāme
mirī ḳhamoshī ke mā'nī kuchh aur hī samjhe
isī liye to uThā.e haiñ itne hañgāme
vo raah bhuul chuke the maiñ bach ke kyā kartī
mirī galī meñ magar kis qadar the hañgāme
huī tujhe kabhī ai dil ma.aal kī parvāh
har ek saañs kī dhaḌkan meñ kitne hañgāme
zarā pata to lagā nafratoñ ke saudāgar
uThe haiñ kaun galī se machā.e hañgāme
hamārī be-ḳhabarī hai sazā hamāre liye
añdherī rāhoñ meñ ugte haiñ saare hañgāme
ġham-e-hayāt se bachne ke sau bahāne haiñ
azīz-tar haiñ mujhe zindagī ke hañgāme
hazār baar mujhe DhūñD kar palaT aa.e
haiñ kitne zarf-e-nazar shahr ke ye hañgāme
ye dil ki dast-e-talab kar sakā kabhī na darāz
na bhuul paayā kabhī aarzū ke hañgāme
'anīs' tum ne basā.e haiñ dil kī dhaḌkan meñ
taḳhayyulāt ke āñchal se le ke hañgāme
chaman chaman mein hain barpa ye kaise hangame
kali ke titli ke bhaunron ke gul ke hangame
hazar rang ke phulon se bagh ki zinat
bahaar aai to lai hai itne hangame
meri KHamoshi ke ma'ni kuchh aur hi samjhe
isi liye to uThae hain itne hangame
wo rah bhul chuke the main bach ke kya karti
meri gali mein magar kis qadar the hangame
hui tujhe kabhi ai dil maal ki parwah
har ek sans ki dhaDkan mein kitne hangame
zara pata to laga nafraton ke saudagar
uThe hain kaun gali se machae hangame
hamari be-KHabari hai saza hamare liye
andheri rahon mein ugte hain sare hangame
gham-e-hayat se bachne ke sau bahane hain
aziz-tar hain mujhe zindagi ke hangame
hazar bar mujhe DhunD kar palaT aae
hain kitne zarf-e-nazar shahr ke ye hangame
ye dil ki dast-e-talab kar saka kabhi na daraaz
na bhul paya kabhi aarzu ke hangame
'anis' tum ne basae hain dil ki dhaDkan mein
taKHayyulat ke aanchal se le ke hangame
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.