chaman ko phul watan ko nai bahaar mile
chaman ko phuul vatan ko na.ī bahār mile
hameñ bhī dāman-e-sad-chāk-o-tār-tār mile
ḳhizāñ meñ ham ne bahāroñ ke giit gaa.e the
hameñ bahār-e-gulistāñ pe iḳhtiyār mile
yahī hai āmad-e-fasl-e-bahār kā hāsil
tamām phuul gulistāñ meñ dil-figār mile
jinheñ ġhurūr thā duniyā meñ kaj-kulāhī kā
farāz-e-dār pe ham ko vo tājdār mile
'shabānā' ham bhī dikhā.eñ kamāl-e-sher agar
zabān-e-urdu ko māhaul sāzgār mile
chaman ko phul watan ko nai bahaar mile
hamein bhi daman-e-sad-chaak-o-tar-tar mile
KHizan mein hum ne bahaaron ke git gae the
hamein bahaar-e-gulistan pe iKHtiyar mile
yahi hai aamad-e-fasl-e-bahaar ka hasil
tamam phul gulistan mein dil-figar mile
jinhen ghurur tha duniya mein kaj-kulahi ka
faraaz-e-dar pe hum ko wo tajdar mile
'shabana' hum bhi dikhaen kamal-e-sher agar
zaban-e-urdu ko mahaul sazgar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.