Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein dahr ke aa kar main kya nihaal hua

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

chaman mein dahr ke aa kar main kya nihaal hua

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    chaman meñ dahr ke aa kar maiñ kyā nihāl huā

    ba-rañg-e-sabza-e-begāna pā.emāl huā

    kahānī kah ke sulāte the yaar ko so ab

    fasāna umr huī ḳhvāb vo ḳhayāl huā

    junūñ chāk-zanī ne asar kiyā vaañ bhī

    jo ḳhat meñ haal likhā thā vo ḳhat haal huā

    'nasīm' duzdī-e-mazmūñ na chhoḌeñge sho.arā

    agarche shahr tabdīl kotvāl huā

    chaman mein dahr ke aa kar main kya nihaal hua

    ba-rang-e-sabza-e-begana paemal hua

    kahani kah ke sulate the yar ko so ab

    fasana umr hui KHwab wo KHayal hua

    junun ki chaak-zani ne asar kiya wan bhi

    jo KHat mein haal likha tha wo KHat ka haal hua

    'nasim' duzdi-e-mazmun na chhoDenge shoara

    agarche shahr ka tabdil kotwal hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now