chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya
chaman meñ gul ne jo kal dāva-e-jamāl kiyā
jamāl-e-yār ne muñh us kā ḳhuub laal kiyā
falak ne aah tirī rah meñ ham ko paidā kar
ba-rañg-e-sabza-e-nūrasta pā.emāl kiyā
rahī thī dam kī kashākash gale meñ kuchh baaqī
so us kī teġh ne jhagḌā hī infisāl kiyā
mirī ab āñkheñ nahīñ khultīñ zo.af se hamdam
na kah ki niiñd meñ hai tū ye kyā ḳhayāl kiyā
bahār-e-rafta phir aa.ī tire tamāshe ko
chaman ko yumn-e-qadam ne tire nihāl kiyā
javāb-nāma siyāhī kā apnī hai vo zulf
kisū ne hashr ko ham se agar savāl kiyā
lagā na dil ko kahīñ kyā sunā nahīñ tū ne
jo kuchh ki 'mīr' kā is āshiqī ne haal kiyā
chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya
jamal-e-yar ne munh us ka KHub lal kiya
falak ne aah teri rah mein hum ko paida kar
ba-rang-e-sabza-e-nurasta paemal kiya
rahi thi dam ki kashakash gale mein kuchh baqi
so us ki tegh ne jhagDa hi infisal kiya
meri ab aankhen nahin khultin zoaf se hamdam
na kah ki nind mein hai tu ye kya KHayal kiya
bahaar-e-rafta phir aai tere tamashe ko
chaman ko yumn-e-qadam ne tere nihaal kiya
jawab-nama siyahi ka apni hai wo zulf
kisu ne hashr ko hum se agar sawal kiya
laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne
jo kuchh ki 'mir' ka is aashiqi ne haal kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.