chaman mein guzri ki sahra ke darmiyan guzri
chaman mein guzri ki sahra ke darmiyan guzri
Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
MORE BYTahniyatunnisa Begam Tahniyat
chaman meñ guzrī ki sahrā ke darmiyāñ guzrī
tumhārī yaad se ḳhālī magar kahāñ guzrī
fasāna umr-e-do-roza kā muḳhtasar ye hai
haram se duur jo guzrī bahut garāñ guzrī
hayāt yuuñ to guzar hī ga.ī guzarnī thī
tumhāre shauq meñ lekin na rā.egāñ guzrī
khulā hai ġhuncha-e-dil har ġharīb-o-be-kas kā
nasīm kū-e-madīna jahāñ jahāñ guzrī
use nasīb huī ne.amat-e-vilā-e-nabī
jahāñ se 'tahniyat' is tarah shādmāñ guzrī
chaman mein guzri ki sahra ke darmiyan guzri
tumhaari yaad se KHali magar kahan guzri
fasana umr-e-do-roza ka muKHtasar ye hai
haram se dur jo guzri bahut garan guzri
hayat yun to guzar hi gai guzarni thi
tumhaare shauq mein lekin na raegan guzri
khula hai ghuncha-e-dil har gharib-o-be-kas ka
nasim ku-e-madina jahan jahan guzri
use nasib hui neamat-e-wila-e-nabi
jahan se 'tahniyat' is tarah shadman guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.