chaman mein iKHtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
chaman meñ iḳhtilāt-e-rañg-o-bū se baat bantī hai
ham hī ham haiñ to kyā ham haiñ tum hī tum ho to kyā tum ho
añdherī raat tūfānī havā TuuTī huī kashtī
yahī asbāb kyā kam the ki is par nāḳhudā tum ho
zamāna dekhtā huuñ kyā karegā mudda.ī ho kar
nahīñ bhī ho to bismillāh mere mudda.ā tum ho
hamārā pyaar rusvā-e-zamāna ho nahīñ saktā
na itne bā-vafā ham haiñ na itne bā-vafā tum ho
chaman mein iKHtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
hum hi hum hain to kya hum hain tum hi tum ho to kya tum ho
andheri raat tufani hawa TuTi hui kashti
yahi asbab kya kam the ki is par naKHuda tum ho
zamana dekhta hun kya karega muddai ho kar
nahin bhi ho to bismillah mere muddaa tum ho
hamara pyar ruswa-e-zamana ho nahin sakta
na itne ba-wafa hum hain na itne ba-wafa tum ho
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 233)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.