chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai
chaman meñ kaun babūloñ kī Daal khīñchtā hai
yahāñ jo aatā hai phūloñ ke gaal khīñchtā hai
vo tiir baa'd meñ pahle savāl khīñchtā hai
savāl bhī jo samā'at kī khaal khīñchtā hai
ai pyaar bāñTne vaale maiñ ḳhuub jāntā huuñ
ki kitnī der meñ machhvārā jaal khīñchtā hai
nikal bhī saktā huuñ qaid-e-taḳhayyulāt se gar
vo shaḳhs khīñch le jis kā ḳhayāl khīñchtā hai
maiñ us ke aage nahīñ khīñchtā niyām se teġh
vo sher-shāh jo dushman kī Dhaal khīñchtā hai
ye sard sub.h meñ soyā sharārtī sūraj
bas aañkh khulte hī pariyoñ kī shaal khīñchtā hai
maiñ hosh-mand huuñ ḳhud bhī so merī ġhazloñ meñ
na raqs kartā hai 'āshiq na baal khīñchtā hai
chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai
yahan jo aata hai phulon ke gal khinchta hai
wo tir ba'd mein pahle sawal khinchta hai
sawal bhi jo sama'at ki khaal khinchta hai
ai pyar banTne wale main KHub jaanta hun
ki kitni der mein machhwara jal khinchta hai
nikal bhi sakta hun qaid-e-taKHayyulat se gar
wo shaKHs khinch le jis ka KHayal khinchta hai
main us ke aage nahin khinchta niyam se tegh
wo sher-shah jo dushman ki Dhaal khinchta hai
ye sard subh mein soya shararti suraj
bas aankh khulte hi pariyon ki shaal khinchta hai
main hosh-mand hun KHud bhi so meri ghazlon mein
na raqs karta hai 'ashiq na baal khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.