chaman mein sair ki KHatir jo gul-izar aae
chaman meñ sair kī ḳhātir jo gul-izār aa.e
ḳhirāj-e-husn adā karne barg-o-bār aa.e
harīm-e-nāz kī mojiz-numā.iyoñ ke rumūz
agar kaheñ to kisī ko na e.atibār aa.e
surūr tuur ke jalve se hai jinheñ hāsil
vo sajda-gāh-e-mohabbat meñ be-qarār aa.e
jo harf-o-saut kī bandish na kar sake angez
ḳhayāl-e-āriz-o-gesū meñ ashk-bār aa.e
gul-e-sabad hai ye 'nasrīñ' kā sher chun lījiye
hamāre tarz-e-suḳhan se kabhī na aar aa.e
chaman mein sair ki KHatir jo gul-izar aae
KHiraj-e-husn ada karne barg-o-bar aae
harim-e-naz ki mojiz-numaiyon ke rumuz
agar kahen to kisi ko na eatibar aae
surur tur ke jalwe se hai jinhen hasil
wo sajda-gah-e-mohabbat mein be-qarar aae
jo harf-o-saut ki bandish na kar sake angez
KHayal-e-ariz-o-gesu mein ashk-bar aae
gul-e-sabad hai ye 'nasrin' ka sher chun lijiye
hamare tarz-e-suKHan se kabhi na aar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.