chaman pe apne bhi aaj rang-e-bahaar hota to id hoti
chaman pe apne bhī aaj rañg-e-bahār hotā to 'iid hotī
guloñ pe thoḌā hameñ bhī gar iḳhtiyār hotā to 'iid hotī
nisār-e-jāñ husn par koī jāñ-nisār hotā to 'iid hotī
ġhazāl āñkhoñ meñ halkā halkā ḳhumār hotā to 'iid hotī
ḳhushī meñ lipTe hue haiñ mātam huī hai ab 'iid bhī moharram
taḌap rahe haiñ hazār-hā ġham qarār hotā to 'iid hotī
ye kisht-e-be-āb qatre qatre ko dekh kab se taras rahī hai
zamīn-e-dil par falak zarā ashk-bār hotā to 'iid hotī
na yuuñ sisaktīñ chaman meñ kaliyāñ na yuuñ dahaktīñ vatan meñ galiyāñ
hamāre kahne meñ shahr aur shahryār hotā to 'iid hotī
ravish-ravish ātish-e-havādis qadam-qadam maut pal rahī hai
chaman kā mausam na itnā nā-ḳhushgavār hotā to 'iid hotī
guloñ pe taaza lahu ke chhīñTe diloñ kī dhaḌkan baḌhā rahe haiñ
jo tere vā'de pe bāġhbāñ e'tibār hotā to 'iid hotī
agar na hijrat kā karb hotā to ham bhī apnoñ meñ chahchahāte
vatan meñ bazmī tirā ġharīb-ud-dayār hotā to 'iid hotī
chaman pe apne bhi aaj rang-e-bahaar hota to 'id hoti
gulon pe thoDa hamein bhi gar iKHtiyar hota to 'id hoti
nisar-e-jaan husn par koi jaan-nisar hota to 'id hoti
ghazal aankhon mein halka halka KHumar hota to 'id hoti
KHushi mein lipTe hue hain matam hui hai ab 'id bhi moharram
taDap rahe hain hazar-ha gham qarar hota to 'id hoti
ye kisht-e-be-ab qatre qatre ko dekh kab se taras rahi hai
zamin-e-dil par falak zara ashk-bar hota to 'id hoti
na yun sisaktin chaman mein kaliyan na yun dahaktin watan mein galiyan
hamare kahne mein shahr aur shahryar hota to 'id hoti
rawish-rawish aatish-e-hawadis qadam-qadam maut pal rahi hai
chaman ka mausam na itna na-KHushgawar hota to 'id hoti
gulon pe taza lahu ke chhinTe dilon ki dhaDkan baDha rahe hain
jo tere wa'de pe baghban e'tibar hota to 'id hoti
agar na hijrat ka karb hota to hum bhi apnon mein chahchahate
watan mein bazmi tera gharib-ud-dayar hota to 'id hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.