chaman saja na sake gul hi kuchh khila to chale
chaman sajā na sake gul hī kuchh khilā to chale
hamāre baa'd bahāroñ kā silsila to chale
gila nahīñ ki hameñ jām-e-mai milā na milā
tujhe ham apnā lahū zindagī pilā to chale
koī to ḳhāk-basar Dhā.egā ye qasr-e-sitam
jafā-o-jaur kī buniyād ham hilā to chale
mujhe yaqīñ hai na.ī sub.h jald aa.egī
sitāra-hā-e-shab-e-yās jhilmilā to chale
jo be-zabāñ the unheñ baḳhsh dī hai goyā.ī
bujhe diloñ ko nayā hausla dilā to chale
siyāh-baḳhtoñ ko ham ne payām-e-sub.h diyā
ġhurūr-e-tīra-shabī ḳhaak meñ milā to chale
ḳhamosh rahne se hotī hai zulm kī tā.īd
nahīñ kuchh aur to zulmat kā hī gila to chale
chaman saja na sake gul hi kuchh khila to chale
hamare ba'd bahaaron ka silsila to chale
gila nahin ki hamein jam-e-mai mila na mila
tujhe hum apna lahu zindagi pila to chale
koi to KHak-basar Dhaega ye qasr-e-sitam
jafa-o-jaur ki buniyaad hum hila to chale
mujhe yaqin hai nai subh jald aaegi
sitara-ha-e-shab-e-yas jhilmila to chale
jo be-zaban the unhen baKHsh di hai goyai
bujhe dilon ko naya hausla dila to chale
siyah-baKHton ko hum ne payam-e-subh diya
ghurur-e-tira-shabi KHak mein mila to chale
KHamosh rahne se hoti hai zulm ki taid
nahin kuchh aur to zulmat ka hi gila to chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.