chameli raat kah rahi thi meri bu liya karen
chamelī raat kah rahī thī merī bū liyā kareñ
aur is se jī nahīñ bhare to mujh ko chhū liyā kareñ
gar aap ko bhī shauq hai qad-āvarī kā yuuñ kareñ
zamīñ meñ paañv gaaḌ kar zarā numū liyā kareñ
kabhī bhī achchhe devtā nahīñ baneñge aise aap
chaḌhāve meñ rupa.e nahīñ faqat lahū liyā kareñ
hamāre mai-kade kā ye usuul hai sabhī suneñ
hamesha daa.eñ haath se sabhī subū liyā kareñ
qafas meñ shor bhī kareñ to ḳhair hai magar 'safīr'
rihā.ishī parind leñ to ḳhush-gulū liyā kareñ
chameli raat kah rahi thi meri bu liya karen
aur is se ji nahin bhare to mujh ko chhu liya karen
gar aap ko bhi shauq hai qad-awari ka yun karen
zamin mein panw gaD kar zara numu liya karen
kabhi bhi achchhe dewta nahin banenge aise aap
chaDhawe mein rupae nahin faqat lahu liya karen
hamare mai-kade ka ye usul hai sabhi sunen
hamesha daen hath se sabhi subu liya karen
qafas mein shor bhi karen to KHair hai magar 'safir'
rihaishi parind len to KHush-gulu liya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.