chanchalahaT mein tu mamola hai
chanchalāhaT meñ tū mamolā hai
jhiljhilāhaT meñ dar amolā hai
dekh tujh mukh kuuñ yuuñ chhupe yūsuf
juuñ kabūtar kueñ meñ kolā hai
sair kartā huuñ baiTh kar us biich
dil hamārā uḌan-khaTolā hai
sarv siiñ qad hai yaar kā mauzūñ
maiñ ne mīzān liiñ ke tolā hai
sard-mehrī siiñ be-vafā kā haal
hai ḳhunuk is qadar ki olā hai
jaan kar ke ajaan hotā hai
tum na jaano ki jaan bholā hai
ham suuñ sab mil kaho mubārakbād
ki Tuk ik hañs ke aa ke bolā hai
'ābrū' haa.e kyuuñ gale na lagā
mere dil meñ yahī malolā hai
chanchalahaT mein tu mamola hai
jhiljhilahaT mein dar amola hai
dekh tujh mukh kun yun chhupe yusuf
jun kabutar kuen mein kola hai
sair karta hun baiTh kar us bich
dil hamara uDan-khaTola hai
sarw sin qad hai yar ka mauzun
main ne mizan lin ke tola hai
sard-mehri sin be-wafa ka haal
hai KHunuk is qadar ki ola hai
jaan kar ke ajaan hota hai
tum na jaano ki jaan bhola hai
hum sun sab mil kaho mubarakbaad
ki Tuk ek hans ke aa ke bola hai
'abru' hae kyun gale na laga
mere dil mein yahi malola hai
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 231)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.