chand fiqre zer-e-lab taDpa kiye
chand fiqre zer-e-lab taḌpā kiye
vo hameñ aur ham unheñ dekhā kiye
ġham thā apnī bad-nasībī kā unheñ
der tak kuchh lafz kal royā kiye
mere qadmoñ meñ rahī manzil mirī
rāste sūrat mirī dekhā kiye
ġham bhī ik ne.amat hai lekin dosto
ham use paayā kiye khoyā kiye
mujh se mil kar kal mire ahbāb bhī
der tak kyā jaane kyā sochā kiye
jis se rahtī thī munavvar ye zamīñ
āsmāñ vo chāñd taare kyā kiye
āsmānoñ kī taraf chal dī zamīñ
ham añdhere ġhaar meñ soyā kiye
mil na paayā zindagī kā kuchh surāġh
muddateñ guzrīñ hameñ pīchhā kiye
chal diyā ik aur patta TuuT kar
āñdhiyoñ ke dosh par takiya kiye
koī bhī dhartī na raas aa.ī hameñ
ham ḳhalāoñ meñ 'zafar' dekhā kiye
chand fiqre zer-e-lab taDpa kiye
wo hamein aur hum unhen dekha kiye
gham tha apni bad-nasibi ka unhen
der tak kuchh lafz kal roya kiye
mere qadmon mein rahi manzil meri
raste surat meri dekha kiye
gham bhi ek neamat hai lekin dosto
hum use paya kiye khoya kiye
mujh se mil kar kal mere ahbab bhi
der tak kya jaane kya socha kiye
jis se rahti thi munawwar ye zamin
aasman wo chand tare kya kiye
aasmanon ki taraf chal di zamin
hum andhere ghaar mein soya kiye
mil na paya zindagi ka kuchh suragh
muddaten guzrin hamein pichha kiye
chal diya ek aur patta TuT kar
aandhiyon ke dosh par takiya kiye
koi bhi dharti na ras aai hamein
hum KHalaon mein 'zafar' dekha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.