chand lamhon ka KHwab ho jaise
chand lamhoñ kā ḳhvāb ho jaise
zindagī ik sarāb ho jaise
pī ke yuuñ mast ho ga.e qātil
ḳhūn-e-nāhaq sharāb ho jaise
shaiḳh sāhib se jo huā sarzad
vo gunah bhī savāb ho jaise
pur-sukūñ shaam ko lab-e-dariyā
baj rahā ik rabāb ho jaise
'nāz' nākām sa.ī hai har gaam
terī qismat ḳharāb ho jaise
chand lamhon ka KHwab ho jaise
zindagi ek sarab ho jaise
pi ke yun mast ho gae qatil
KHun-e-nahaq sharab ho jaise
shaiKH sahib se jo hua sarzad
wo gunah bhi sawab ho jaise
pur-sukun sham ko lab-e-dariya
baj raha ek rabab ho jaise
'naz' nakaam sai hai har gam
teri qismat KHarab ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.