chand satren sada si tahrir thi
chand satreñ saada sī tahrīr thī
zindagī bhar kī yahī tahrīr thī
ham use na khol paa.e umr bhar
jis lifāfe meñ ḳhushī tahrīr thī
zindagī bhar ham use likhte rahe
jis ke dil meñ aur kī tahrīr thī
jaan se baḌh kar thī ham ko vo bayāz
jis meñ tere naam kī tahrīr thī
terī yādoñ kī ibārat miT chukī
jo mire dil par kabhī tahrīr thī
'sāhil' ab jo zindagī meñ hai sharīk
merī qismat meñ yahī tahrīr thī
chand satren sada si tahrir thi
zindagi bhar ki yahi tahrir thi
hum use na khol pae umr bhar
jis lifafe mein KHushi tahrir thi
zindagi bhar hum use likhte rahe
jis ke dil mein aur ki tahrir thi
jaan se baDh kar thi hum ko wo bayaz
jis mein tere nam ki tahrir thi
teri yaadon ki ibarat miT chuki
jo mere dil par kabhi tahrir thi
'sahil' ab jo zindagi mein hai sharik
meri qismat mein yahi tahrir thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.