chanda bhi bas raat mein achchha lagta hai
chandā bhī bas raat meñ achchhā lagtā hai
har banda auqāt meñ achchhā lagtā hai
chehra laal gulābī sā ho jaatā hai
vo mujh ko jazbāt meñ achchhā lagtā hai
mil kar chheḌte rahte haiñ sab yaar mujhe
zikr tirā har baat meñ achchhā lagtā hai
sajte haiñ us shoḳh badan par saare rañg
har kañgan us haath meñ achchhā lagtā hai
achchhā lagtā hai vo jaise gul-e-gulāb
phūloñ kī bohtāt meñ achchhā lagtā hai
yaad ga.e lamhoñ ko kar ke ro lenā
mujh ko har barsāt meñ achchhā lagtā hai
chhoḌ de 'āsī' pyaar ko chal mazdūrī kar
ishq achchhe hālāt meñ achchhā lagtā hai
chanda bhi bas raat mein achchha lagta hai
har banda auqat mein achchha lagta hai
chehra lal gulabi sa ho jata hai
wo mujh ko jazbaat mein achchha lagta hai
mil kar chheDte rahte hain sab yar mujhe
zikr tera har baat mein achchha lagta hai
sajte hain us shoKH badan par sare rang
har kangan us hath mein achchha lagta hai
achchha lagta hai wo jaise gul-e-gulab
phulon ki bohtat mein achchha lagta hai
yaad gae lamhon ko kar ke ro lena
mujh ko har barsat mein achchha lagta hai
chhoD de 'asi' pyar ko chal mazduri kar
ishq achchhe haalat mein achchha lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.