charagh bas isi ummid par jala karega
charāġh bas isī ummīd par jalā karegā
ki vāpsī pe koī us se rābta karegā
tire liye vo koī rāsta nikālegā
vo sab se ruuTh bhī jaa.e tujhe milā karegā
duā salām mire aqrabā kī sunnat hai
tū muñh ko pher ke kaise mujhe ḳhafā karegā
qasam ḳhudā kī maiñ ḳhālī kamān laayā huuñ
ḳhabar nahīñ thī muḳhālif muqābla karegā
ye baat chhoḌ ki meñ bad zabāñ huuñ pāgal huuñ
ai ḳhush-gumān batā aa.ine kā kyā karegā
tū par lagā ke mujhe apnā shauq puurā kar
use to pūchh mujhe qaid se rihā karegā
alam thamā ke mujhe bhiiḌ meñ utarne de
faqīr laḌ ke ta.alluq kā haq adā karegā
usī majāz ko aate haiñ mo.ajize saare
vo shāḳh-e-ḳhushk ko ik lams se harā karegā
ye aadmī jo kisī qurb kī talāsh meñ hai
jahāñ vajūd milā baiTh kar ḳhatā karegā
charagh bas isi ummid par jala karega
ki wapsi pe koi us se rabta karega
tere liye wo koi rasta nikalega
wo sab se ruTh bhi jae tujhe mila karega
dua salam mere aqraba ki sunnat hai
tu munh ko pher ke kaise mujhe KHafa karega
qasam KHuda ki main KHali kaman laya hun
KHabar nahin thi muKHalif muqabla karega
ye baat chhoD ki mein bad zaban hun pagal hun
ai KHush-guman bata aaine ka kya karega
tu par laga ke mujhe apna shauq pura kar
use to puchh mujhe qaid se riha karega
alam thama ke mujhe bhiD mein utarne de
faqir laD ke talluq ka haq ada karega
usi majaz ko aate hain moajize sare
wo shaKH-e-KHushk ko ek lams se hara karega
ye aadmi jo kisi qurb ki talash mein hai
jahan wajud mila baiTh kar KHata karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.