charagh dene lagega dhuan na chhu lena
charāġh dene lagegā dhuāñ na chhū lenā
tū merā jism kahīñ merī jaañ na chhū lenā
zamīñ chhuTī to bhaTak jāoge ḳhalāoñ meñ
tum uḌte uḌte kahīñ āsmāñ na chhū lenā
nahīñ to barf sā paanī tumheñ jalā degā
gilās lete hue uñgliyāñ na chhū lenā
hamāre lahje kī shā.istagī ke dhoke meñ
hamārī bātoñ kī gahrā.iyāñ na chhū lenā
uḌe to phir na mileñge rafāqatoñ ke parind
shikāyatoñ se bharī Tahniyāñ na chhū lenā
muravvatoñ ko mohabbat na jānñā 'irfān'
tum apne siine se nok-e-sināñ na chhū lenā
charagh dene lagega dhuan na chhu lena
tu mera jism kahin meri jaan na chhu lena
zamin chhuTi to bhaTak jaoge KHalaon mein
tum uDte uDte kahin aasman na chhu lena
nahin to barf sa pani tumhein jala dega
gilas lete hue ungliyan na chhu lena
hamare lahje ki shaistagi ke dhoke mein
hamari baaton ki gahraiyan na chhu lena
uDe to phir na milenge rafaqaton ke parind
shikayaton se bhari Tahniyan na chhu lena
murawwaton ko mohabbat na jaanna 'irfan'
tum apne sine se nok-e-sinan na chhu lena
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 32)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.