charagh-e-bazm teri mansabi hai kitni der
charāġh-e-bazm tirī mansabī hai kitnī der
sharar-nazhād hai to zindagī hai kitnī der
havā-e-dahr bhī Thahrī hai fursatoñ kī harīf
tire ḳhayāl kī mohlat milī hai kitnī der
harīm-e-nāz se niklī to tere jism kī baat
zabān-e-ḳhalq-e-ḳhudā par rahī hai kitnī der
ujaaḌ deñge ye mausam ke garm-o-sard tujhe
misāl-e-sarv ye ḳhush-qāmatī hai kitnī der
savād-e-jāñ meñ mirī jaañ sabāt kis ko hai
ye terā qurb tirī dostī hai kitnī der
jhulas gayā hai badan hijr kī tamāzat se
tujhe ḳhabar bhī nahīñ ho chukī hai kitnī der
vo pūchhtā hai shab-o-roz mujh se qurbat meñ
ki qurbatoñ kā ye lamha 'razī' hai kitnī der
charagh-e-bazm teri mansabi hai kitni der
sharar-nazhad hai to zindagi hai kitni der
hawa-e-dahr bhi Thahri hai fursaton ki harif
tere KHayal ki mohlat mili hai kitni der
harim-e-naz se nikli to tere jism ki baat
zaban-e-KHalq-e-KHuda par rahi hai kitni der
ujaD denge ye mausam ke garm-o-sard tujhe
misal-e-sarw ye KHush-qamati hai kitni der
sawad-e-jaan mein meri jaan sabaat kis ko hai
ye tera qurb teri dosti hai kitni der
jhulas gaya hai badan hijr ki tamazat se
tujhe KHabar bhi nahin ho chuki hai kitni der
wo puchhta hai shab-o-roz mujh se qurbat mein
ki qurbaton ka ye lamha 'razi' hai kitni der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.