charagh-e-dard jalao ki raushni kam hai
charāġh-e-dard jalāo ki raushnī kam hai
junūñ kī bazm sajāo ki raushnī kam hai
na chheḌo zikr-e-ta.affun bhare zamāne kā
gulāb-e-zaḳhm khilāo ki raushnī kam hai
na jaane chhup ga.ī manzil kahāñ añdheroñ meñ
mire qarīb-tar aao ki raushnī kam hai
tumhāre shahr kī shāyad hai sub.h shab-parvar
ye kyā hai varna batāo ki raushnī kam hai
na bazm-e-fikr hai raushan na jām-e-dil labrez
ġhamoñ kā zahr pilāo ki raushnī kam hai
sadā ye detā hai 'shāġhil' rah-e-vafā se kaun
lahū jigar kā jalāo ki raushnī kam hai
charagh-e-dard jalao ki raushni kam hai
junun ki bazm sajao ki raushni kam hai
na chheDo zikr-e-taffun bhare zamane ka
gulab-e-zaKHm khilao ki raushni kam hai
na jaane chhup gai manzil kahan andheron mein
mere qarib-tar aao ki raushni kam hai
tumhaare shahr ki shayad hai subh shab-parwar
ye kya hai warna batao ki raushni kam hai
na bazm-e-fikr hai raushan na jam-e-dil labrez
ghamon ka zahr pilao ki raushni kam hai
sada ye deta hai 'shaghil' rah-e-wafa se kaun
lahu jigar ka jalao ki raushni kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.