charagh-e-rahguzar hai jala rahega wo
charāġh-e-rāhguzar hai jalā rahegā vo
magar havā ke liye mas.ala rahegā vo
kahāñ hai hijr meñ rahne kā tajraba us ko
tamām umr duā māñgtā rahegā vo
jagah badalne se hai.at kahāñ badaltī hai
jo aa.ina hai sadā aa.ina rahegā vo
maiñ us charāġh kī lau ko ḳhirāj de aa.uuñ
jo bujh gayā to hamesha bujhā rahegā vo
bahut hī dhuup hai ab sā.ebāñ banā 'mohsin'
ḳhud apne saa.e meñ kab tak khaḌā rahegā vo
charagh-e-rahguzar hai jala rahega wo
magar hawa ke liye masala rahega wo
kahan hai hijr mein rahne ka tajraba us ko
tamam umr dua mangta rahega wo
jagah badalne se haiat kahan badalti hai
jo aaina hai sada aaina rahega wo
main us charagh ki lau ko KHiraj de aaun
jo bujh gaya to hamesha bujha rahega wo
bahut hi dhup hai ab saeban bana 'mohsin'
KHud apne sae mein kab tak khaDa rahega wo
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.