charagh-e-shauq lahu se jala diya humne
charagh-e-shauq lahu se jala diya humne
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi
charāġh-e-shauq lahū se jalā diyā ham ne
ik aur qissa-e-vahshat sunā diyā ham ne
jo mauj sar ko paTaktī rahī hai sāhil se
usī ko rū-kash-e-tūfāñ banā diyā ham ne
na.e jo ham-safar-e-kesh-e-ishq haiñ un ko
ma.āl-e-soz-e-mohabbat banā diyā ham ne
basān-e-ḳhāna-ba-doshāñ ka.ī hai umr apnī
jahāñ qayām kiyā ghar banā diyā ham ne
bujhī bujhī sī rahe sham-e-ārzū sar-e-bazm
so raushnī ke liye dil jalā diyā ham ne
zamīn-e-shor lagī dasht-e-ārzū meñ jahāñ
vahīñ pe ishq kā paudā lagā diyā ham ne
chale haiñ rah-guzar-e-shauq par havā kī tarah
jo aayā sāmne 'rāhī' haTā diyā ham ne
charagh-e-shauq lahu se jala diya hum ne
ek aur qissa-e-wahshat suna diya hum ne
jo mauj sar ko paTakti rahi hai sahil se
usi ko ru-kash-e-tufan bana diya hum ne
nae jo ham-safar-e-kesh-e-ishq hain un ko
maal-e-soz-e-mohabbat bana diya hum ne
basan-e-KHana-ba-doshan kai hai umr apni
jahan qayam kiya ghar bana diya hum ne
bujhi bujhi si rahe sham-e-arzu sar-e-bazm
so raushni ke liye dil jala diya hum ne
zamin-e-shor lagi dasht-e-arzu mein jahan
wahin pe ishq ka pauda laga diya hum ne
chale hain rah-guzar-e-shauq par hawa ki tarah
jo aaya samne 'rahi' haTa diya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.