charagh-e-zaKHm-e-tamanna ki lau baDhae hue
charāġh-e-zaḳhm-e-tamannā kī lau baḌhā.e hue
fasīl-e-dil meñ hai ik aas dar banā.e hue
ik aarzū ke safar se palaT rahā huuñ maiñ
dil o nigāh kī mahrūmiyāñ uThā.e hue
koī nahīñ jo miTā.e mirī siyah-baḳhtī
falak pe kitne sitāre haiñ jagmagā.e hue
bahut dinoñ se hai 'ḳhurshīd' ye ḳharāba-e-dil
mire nasīb kī vīrāniyāñ basā.e hue
charagh-e-zaKHm-e-tamanna ki lau baDhae hue
fasil-e-dil mein hai ek aas dar banae hue
ek aarzu ke safar se palaT raha hun main
dil o nigah ki mahrumiyan uThae hue
koi nahin jo miTae meri siyah-baKHti
falak pe kitne sitare hain jagmagae hue
bahut dinon se hai 'KHurshid' ye KHaraba-e-dil
mere nasib ki viraniyan basae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.