Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh hath mein ho to hawa musibat hai

Anjum Saleemi

charagh hath mein ho to hawa musibat hai

Anjum Saleemi

MORE BYAnjum Saleemi

    charāġh haath meñ ho to havā musībat hai

    so mujh marīz-e-anā ko shifā musībat hai

    sahūlateñ to mujhe raas nahīñ ātīñ

    qubūliyat ghaḌī meñ duā musībat hai

    uThā.e phirtā rahā maiñ bahut mohabbat ko

    phir ek din yūñhī sochā ye kyā musībat hai

    maiñ aaj Duub chalā ret ke samundar meñ

    chahār-samt ye raqs-e-havā musībat hai

    ḳhud-āgahī jo mujh par nuzūl jaarī huā

    maiñ kyā kahūñ ki ye rahmat hai musībat hai

    bahut jachā hai ye be-dāġh pairahan mujh par

    go ḳhāk-zād ko aisī qabā musībat hai

    maiñ kam rahtā huuñ 'anjum' ḳhudā sohbat meñ

    gunāhgār ko ḳhauf-e-ḳhudā musībat hai

    charagh hath mein ho to hawa musibat hai

    so mujh mariz-e-ana ko shifa musibat hai

    sahulaten to mujhe ras hi nahin aatin

    qubuliyat ki ghaDi mein dua musibat hai

    uThae phirta raha main bahut mohabbat ko

    phir ek din yunhi socha ye kya musibat hai

    main aaj Dub chala ret ke samundar mein

    chahaar-samt ye raqs-e-hawa musibat hai

    KHud-agahi ka jo mujh par nuzul jari hua

    main kya kahun ki ye rahmat hai ya musibat hai

    bahut jacha hai ye be-dagh pairahan mujh par

    go KHak-zad ko aisi qaba musibat hai

    main kam hi rahta hun 'anjum' KHuda ki sohbat mein

    gunahgar ko KHauf-e-KHuda musibat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now