charagh ho gaya bad-nam kuchh ziyaada hi
charāġh ho gayā bad-nām kuchh ziyāda hī
ki jal rahā thā sar-e-bām kuchh ziyāda hī
tire bhulāne meñ merā qusūr itnā hai
ki paḌ ga.e the mujhe kaam kuchh ziyāda hī
maiñ kitne haath se guzrā yahāñ tak aate hue
mujhe kiyā gayā nīlām kuchh ziyāda hī
malāl terī judā.ī kā be-panah lekin
fasurda hai ye mirī shaam kuchh ziyāda hī
tamām umr kī āvārgī bajā lekin
lagā hai ishq kā ilzām kuchh ziyāda hī
bas ek raat se kaise thakan utartī hai
badan ko chāhiye ārām kuchh ziyāda hī
sambhāl apnī bahaktī huī zabāñ 'mansūr'
tū le rahā hai koī naam kuchh ziyāda hī
charagh ho gaya bad-nam kuchh ziyaada hi
ki jal raha tha sar-e-baam kuchh ziyaada hi
tere bhulane mein mera qusur itna hai
ki paD gae the mujhe kaam kuchh ziyaada hi
main kitne hath se guzra yahan tak aate hue
mujhe kiya gaya nilam kuchh ziyaada hi
malal teri judai ka be-panah lekin
fasurda hai ye meri sham kuchh ziyaada hi
tamam umr ki aawargi baja lekin
laga hai ishq ka ilzam kuchh ziyaada hi
bas ek raat se kaise thakan utarti hai
badan ko chahiye aaram kuchh ziyaada hi
sambhaal apni bahakti hui zaban 'mansur'
tu le raha hai koi nam kuchh ziyaada hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.