charagh jalne lage to hawa nahin deta
charāġh jalne lage to havā nahīñ detā
faqīr huuñ maiñ kabhī bad-du'ā nahīñ detā
to kyā isī liye duniyā nahīñ tavāzun meñ
vo jurm dekh ke fauran sazā nahīñ detā
tū ek baar to kahtā ki kaash aisā ho
maiñ āsmān zamīñ se milā nahīñ detā
zarūr lutf kā pahlū hai mere jalne meñ
vagarna uTh ke mujhe vo bujhā nahīñ detā
ye kitnā vāzeh ishāra hai baḳht Dhalne kā
maiñ bhiik duuñ to bhikārī du'ā nahīñ detā
maiñ ḳhālī haath kabhī lauTtā nahīñ 'miqdād'
mujhe ḳhushī ke 'alāva vo kyā nahīñ detā
charagh jalne lage to hawa nahin deta
faqir hun main kabhi bad-du'a nahin deta
to kya isi liye duniya nahin tawazun mein
wo jurm dekh ke fauran saza nahin deta
tu ek bar to kahta ki kash aisa ho
main aasman zamin se mila nahin deta
zarur lutf ka pahlu hai mere jalne mein
wagarna uTh ke mujhe wo bujha nahin deta
ye kitna wazeh ishaara hai baKHt Dhalne ka
main bhik dun to bhikari du'a nahin deta
main KHali hath kabhi lauTta nahin 'miqdad'
mujhe KHushi ke 'alawa wo kya nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.