charagh le ke hatheli pe chal sakoge kya
charāġh le ke hathelī pe chal sakoge kyā
ghanā añdherā hai bāhar nikal sakoge kyā
nizām bikhrā huā hai avaam be kal hai
banī huī hai jo sūrat badal sakoge kyā
tumhāre apne lage haiñ tumheñ girāne meñ
zamīñ pe tel lagā hai sañbhal sakoge kyā
jhuke saroñ se ye lagtā hai bebasī hai koī
tum aisī haañ ko nahīñ meñ badal sakoge kyā
tumheñ ye naaz hai 'ulfat' tum achchhe insāñ ho
magar ye aag parā.ī hai jal sakoge kyā
charagh le ke hatheli pe chal sakoge kya
ghana andhera hai bahar nikal sakoge kya
nizam bikhra hua hai awam be kal hai
bani hui hai jo surat badal sakoge kya
tumhaare apne lage hain tumhein girane mein
zamin pe tel laga hai sanbhal sakoge kya
jhuke saron se ye lagta hai bebasi hai koi
tum aisi han ko nahin mein badal sakoge kya
tumhein ye naz hai 'ulfat' tum achchhe insan ho
magar ye aag parai hai jal sakoge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.