charaghon ka kaleja bhun rahi hain
charāġhoñ kā kaleja bhun rahī haiñ
havā.eñ dard kis kā sun rahī haiñ
bahut masrūf haiñ sāñseñ hamārī
abhī jiine kī chādar bun rahī haiñ
ye uḌtī rañg-birañgī titliyāñ kyā
shagufta phuul dil kā chun rahī haiñ
pahāḌī raag jab nadiyoñ ne chheḌe
uchhaltī lahreñ ḳhud sar dhun rahī haiñ
chamaktī bijliyoñ pe ġhaur karnā
hamāre hosh kā nāḳhun rahī haiñ
charaghon ka kaleja bhun rahi hain
hawaen dard kis ka sun rahi hain
bahut masruf hain sansen hamari
abhi jine ki chadar bun rahi hain
ye uDti rang-birangi titliyan kya
shagufta phul dil ka chun rahi hain
pahaDi rag jab nadiyon ne chheDe
uchhalti lahren KHud sar dhun rahi hain
chamakti bijliyon pe ghaur karna
hamare hosh ka naKHun rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.