charaghon ko bujhana chahta hai
charāġhoñ ko bujhānā chāhtā hai
añdherā muskurānā chāhtā hai
salāmat par nahīñ haiñ jis ke dekho
vo taare toḌ laanā chāhtā hai
tirī āñkhoñ kā kajrārī ye ḳhanjar
mire dil kā nishāna chāhtā hai
vo aanā chāhtā hai mere dil meñ
magar koī bahāna chāhtā hai
bahut royā hai daur-e-bebasī meñ
magar ab muskurānā chāhtā hai
koī suntā nahīñ hai 'nasr' us kī
vo hāl-e-ġham sunānā chāhtā hai
charaghon ko bujhana chahta hai
andhera muskurana chahta hai
salamat par nahin hain jis ke dekho
wo tare toD lana chahta hai
teri aankhon ka kajrari ye KHanjar
mere dil ka nishana chahta hai
wo aana chahta hai mere dil mein
magar koi bahana chahta hai
bahut roya hai daur-e-bebasi mein
magar ab muskurana chahta hai
koi sunta nahin hai 'nasr' us ki
wo haal-e-gham sunana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.