charaghon ko uchhaala ja raha hai
charāġhoñ ko uchhālā jā rahā hai
havā par ro.ab Daalā jā rahā hai
na haar apnī na apnī jiit hogī
magar sikka uchhālā jā rahā hai
vo dekho mai-kade ke rāste meñ
koī allāh-vālā jā rahā hai
the pahle hī ka.ī saañp āstīñ meñ
ab ik bichchhū bhī paalā jā rahā hai
mire jhūTe gilāsoñ kī chhakā kar
bahaktoñ ko sambhālā jā rahā hai
hamī buniyād kā patthar haiñ lekin
hameñ ghar se nikālā jā rahā hai
janāze par mire likh denā yaaro
mohabbat karne vaalā jā rahā hai
charaghon ko uchhaala ja raha hai
hawa par roab Dala ja raha hai
na haar apni na apni jit hogi
magar sikka uchhaala ja raha hai
wo dekho mai-kade ke raste mein
koi allah-wala ja raha hai
the pahle hi kai sanp aastin mein
ab ek bichchhu bhi pala ja raha hai
mere jhuTe gilason ki chhaka kar
bahakton ko sambhaala ja raha hai
hami buniyaad ka patthar hain lekin
hamein ghar se nikala ja raha hai
janaze par mere likh dena yaro
mohabbat karne wala ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.