charche har ek zaban pe husn-e-butan ke hain
charche har ik zabān pe husn-e-butāñ ke haiñ
'unvāñ judā judā isī ik dāstāñ ke haiñ
phūloñ ke qahqahe hoñ ki fariyād-e-andalīb
donoñ hī soz-o-sāz isī gulistāñ ke haiñ
rahzan agar hai ghaat meñ kyā shikva ham-safīr
ḳhud apne rāhbar hī 'adū kārvāñ ke haiñ
kyā ḳhaak hoñge ishq kī manzil se āshnā
kushta har ik qadam pe jo sūd-o-ziyāñ ke haiñ
jhuk jaa.e vālihāna jahāñ ḳhud jabīn-e-shauq
ham 'qādrī' talāsh meñ us āstāñ ke haiñ
charche har ek zaban pe husn-e-butan ke hain
'unwan juda juda isi ek dastan ke hain
phulon ke qahqahe hon ki fariyaad-e-andalib
donon hi soz-o-saz isi gulistan ke hain
rahzan agar hai ghat mein kya shikwa ham-safir
KHud apne rahbar hi 'adu karwan ke hain
kya KHak honge ishq ki manzil se aashna
kushta har ek qadam pe jo sud-o-ziyan ke hain
jhuk jae walihana jahan KHud jabin-e-shauq
hum 'qadri' talash mein us aastan ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.