Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-hairat ko ta’alluq ki faza tak le gaya

Fasih Akmal

chashm-e-hairat ko ta’alluq ki faza tak le gaya

Fasih Akmal

MORE BYFasih Akmal

    chashm-e-hairat ko ta’alluq fazā tak le gayā

    koī ḳhvāboñ se mujhe dasht-e-balā tak le gayā

    TūTtī parchhā.iyoñ ke shahr meñ tanhā huuñ ab

    hādsoñ silsila ġham-āshnā tak le gayā

    dhuup dīvāroñ pe chaḌh kar dekhtī rah ga.ī

    kaun sūraj ko añdheroñ guphā tak le gayā

    'umr bhar milne nahīñ detī haiñ ab to ranjisheñ

    vaqt ham se ruuTh jaane adā tak le gayā

    is qadar gahrī udāsī sabab khultā nahīñ

    jaise hoñToñ se koī harf-e-du'ā tak le gayā

    jaane kis ummīd par ik aarzū silsila

    mujh se paiham duur hotī ik sadā tak le gayā

    ḳhaak meñ milte hue barg-e-ḳhizāñ se pūchhiye

    kaun shāḳhoñ se use ūñchī havā tak le gayā

    chashm-e-hairat ko ta’alluq ki faza tak le gaya

    koi KHwabon se mujhe dasht-e-bala tak le gaya

    TuTti parchhaiyon ke shahr mein tanha hun ab

    hadson ka silsila gham-ashna tak le gaya

    dhup diwaron pe chaDh kar dekhti hi rah gai

    kaun suraj ko andheron ki gupha tak le gaya

    'umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen

    waqt hum se ruTh jaane ki ada tak le gaya

    is qadar gahri udasi ka sabab khulta nahin

    jaise honTon se koi harf-e-du'a tak le gaya

    jaane kis ummid par ek aarzu ka silsila

    mujh se paiham dur hoti ek sada tak le gaya

    KHak mein milte hue barg-e-KHizan se puchhiye

    kaun shaKHon se use unchi hawa tak le gaya

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    chashm-e-hairat ko ta’alluq ki faza tak le gaya Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now