Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-hasin mein hai na ruKH-e-fitna-gar mein hai

Behzad Lakhnavi

chashm-e-hasin mein hai na ruKH-e-fitna-gar mein hai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    chashm-e-hasīñ meñ hai na ruḳh-e-fitna-gar meñ hai

    duniyā har fareb fareb-e-nazar meñ hai

    ab kyā ḳhabar ki dil meñ hai kyā kyā jigar meñ hai

    ab to tirī nazar tamāshā nazar meñ hai

    īmān rakh ke kyā karūñ farsūda chiiz hai

    mastī mujhe qubūl ki terī nazar meñ hai

    nāsūr dard-e-zaḳhm tapish soz-o-iztirāb

    sāmān sau tarah dil-e-muḳhtasar meñ hai

    hāzir hai us ke vāste jis ko ho aarzū

    haañ ik lahū buuñd mirī chashm-e-tar meñ hai

    qismat se mil ga.ī hai ye bedārī-e-hayāt

    is ishq ke nisār ki duniyā nazar meñ hai

    mujh ko na din ko chain na shab ko sukūñ nasīb

    ik rabt-e-dā.imī mirī shām-o-sahar meñ hai

    hairat se dekhiye na mire sajda-hā-e-shauq

    ye āstāñ kuchh aur merī nazar meñ hai

    baaqī haiñ ba.ad-e-tauba bhī rindī ke valvale

    dil meñ ḳhayāl-e-bāda hai sāġhar nazar meñ hai

    achchhī milī hai mujh ko ye dīvāngī-e-shauq

    duniyā har ḳhayāl dil-e-be-ḳhabar meñ hai

    do qatra-hā-e-ḳhūñ sar-e-mizhgāñ haiñ muntazir

    'bahzād' do-jahāñ tamāshā nazar meñ hai

    chashm-e-hasin mein hai na ruKH-e-fitna-gar mein hai

    duniya ka har fareb fareb-e-nazar mein hai

    ab kya KHabar ki dil mein hai kya kya jigar mein hai

    ab to teri nazar ka tamasha nazar mein hai

    iman rakh ke kya karun farsuda chiz hai

    masti mujhe qubul ki teri nazar mein hai

    nasur dard-e-zaKHm tapish soz-o-iztirab

    saman sau tarah ka dil-e-muKHtasar mein hai

    hazir hai us ke waste jis ko ho aarzu

    han ek lahu ki bund meri chashm-e-tar mein hai

    qismat se mil gai hai ye bedari-e-hayat

    is ishq ke nisar ki duniya nazar mein hai

    mujh ko na din ko chain na shab ko sukun nasib

    ek rabt-e-daimi meri sham-o-sahar mein hai

    hairat se dekhiye na mere sajda-ha-e-shauq

    ye aastan kuchh aur hi meri nazar mein hai

    baqi hain baad-e-tauba bhi rindi ke walwale

    dil mein KHayal-e-baada hai saghar nazar mein hai

    achchhi mili hai mujh ko ye diwangi-e-shauq

    duniya ka har KHayal dil-e-be-KHabar mein hai

    do qatra-ha-e-KHun sar-e-mizhgan hain muntazir

    'bahzad' do-jahan ka tamasha nazar mein hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now