chashm-e-ḳhūbāñ ḳhāmushī meñ bhī navā-pardāz hai
surma to kahve ki dūd-e-sho.ala-e-āvāz hai
paikar-e-ushshāq sāz-e-tāla-e-nā-sāz hai
naala goyā gardish-e-saiyyāra kī āvāz hai
dast-gāh-e-dīda-e-ḳhūñ-bār-e-majnūñ dekhnā
yak-bayābāñ jalva-e-gul farsh-e-pā-andāz hai
chashm-e-ḳhūbāñ mai-farosh-e-nashsha-zār-e-nāz hai
surma goyā mauj-e-dūd-e-shola-e-āvāz hai
hai sarīr-e-ḳhāma rezish-hā-e-istiqbāl-e-nāz
naama ḳhud paiġhām ko bāl-o-par-e-parvāz hai
sar-navisht-e-iztirāb-anjāmi-e-ulfat na pūchh
nāl-e-ḳhāma ḳhār-ḳhār-e-ḳhātir-e-āġhāz hai
shoḳhi-e-iz.hār ġhair-az-vahshat-e-majnūñ nahīñ
lailā-e-manī 'asad' mahmil-nashīn-e-rāz hai
naġhma hai kānoñ meñ us ke nāla-e-murġh-e-asīr
rishta-e-pā yaañ navā-sāmān-e-band-e-sāz hai
sharm hai tarz-e-talāsh-e-intiḳhāb-e-yak-nigāh
iztirāb-e-chashm barpā doḳhta-ġhammāz hai
chashm-e-KHuban KHamushi mein bhi nawa-pardaz hai
surma to kahwe ki dud-e-shoala-e-awaz hai
paikar-e-ushshaq saz-e-tala-e-na-saz hai
nala goya gardish-e-saiyyara ki aawaz hai
dast-gah-e-dida-e-KHun-bar-e-majnun dekhna
yak-bayaban jalwa-e-gul farsh-e-pa-andaz hai
chashm-e-KHuban mai-farosh-e-nashsha-zar-e-naz hai
surma goya mauj-e-dud-e-shola-e-awaz hai
hai sarir-e-KHama rezish-ha-e-istiqbaal-e-naz
nama KHud paigham ko baal-o-par-e-parwaz hai
sar-nawisht-e-iztirab-anjami-e-ulfat na puchh
nal-e-KHama KHar-KHar-e-KHatir-e-aghaz hai
shoKHi-e-izhaar ghair-az-wahshat-e-majnun nahin
laila-e-mani 'asad' mahmil-nashin-e-raaz hai
naghma hai kanon mein us ke nala-e-murgh-e-asir
rishta-e-pa yan nawa-saman-e-band-e-saz hai
sharm hai tarz-e-talash-e-intiKHab-e-yak-nigah
iztirab-e-chashm barpa doKHta-ghammaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.