chashm-e-maigun-e-yar ke sadqe
chashm-e-maigūn-e-yār ke sadqe
nigah-e-sehr-kār ke sadqe
nok-e-mizhgāñ kī hai ḳhalish pur-kaif
nargis-e-ḳhār-dār ke sadqe
ye adā bhī hai kis qadar dilkash
chashm-e-jānāñ ke pyaar ke sadqe
hai takallum ki raqs-e-barq-e-shafaq
hai dur-e-shāhvār ke sadqe
us ḳhirāmāñ-nihāl ke qurbāñ
aur us kī bahār ke sadqe
husn hī husn sar se paañv tak
maiñ sarāpā-nigār ke sadqe
maiñ 'amīñ' un kī tamkanat pe fidā
vo mire inkisār ke sadqe
chashm-e-maigun-e-yar ke sadqe
nigah-e-sehr-kar ke sadqe
nok-e-mizhgan ki hai KHalish pur-kaif
nargis-e-KHar-dar ke sadqe
ye ada bhi hai kis qadar dilkash
chashm-e-jaanan ke pyar ke sadqe
hai takallum ki raqs-e-barq-e-shafaq
hai dur-e-shahwar ke sadqe
us KHiraman-nihaal ke qurban
aur us ki bahaar ke sadqe
husn hi husn sar se panw tak
main sarapa-nigar ke sadqe
main 'amin' un ki tamkanat pe fida
wo mere inkisar ke sadqe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.