chashm-e-tar raat mujhko yaad aai
chashm-e-tar raat mujh ko yaad aa.ī
apnī auqāt mujh ko yaad aa.ī
nāla-e-dil par aah kī maiñ ne
baat par baat mujh ko yaad aa.ī
abhī bhūlī thī duḳht-e-raz tauba
phir vo bad-zāt mujh ko yaad aa.ī
zulf meñ dekh ḳhaal ko us ke
shab kī vo ghaat mujh ko yaad aa.ī
dekh laala kā rañg us kī kafak
aaj haihāt mujh ko yaad aa.ī
jī pe jis ke sitam kahīñ dekhā
dil kī auqāt mujh ko yaad aa.ī
dekh rote 'hasan' ko shiddat se
par kī barsāt mujh ko yaad aa.ī
chashm-e-tar raat mujh ko yaad aai
apni auqat mujh ko yaad aai
nala-e-dil par aah ki main ne
baat par baat mujh ko yaad aai
abhi bhuli thi duKHt-e-raz tauba
phir wo bad-zat mujh ko yaad aai
zulf mein dekh KHal ko us ke
shab ki wo ghat mujh ko yaad aai
dekh lala ka rang us ki kafak
aaj haihat mujh ko yaad aai
ji pe jis ke sitam kahin dekha
dil ki auqat mujh ko yaad aai
dekh rote 'hasan' ko shiddat se
par ki barsat mujh ko yaad aai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.