Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-zarKHez ka hi rona hai

Navin Joshi

chashm-e-zarKHez ka hi rona hai

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    chashm-e-zarḳhez ronā hai

    sab ko āñkhoñ meñ ḳhvāb bonā hai

    itne paanī meñ duub jā.egā

    man ke āñgan ko bas bhigonā hai

    ek duniyā hai manzil-e-maqsūd

    ek duniyā hai jis ko Dhonā hai

    kisī tūfāñ ko nā-ḳhudā kar ke

    kisī kashtī ko paar honā hai

    vo tasavvur bhī hai haqīqat bhī

    us ko paanā bhī us ko khonā hai

    oḌhnā kyā hai aur bichhaunā kyā

    niiñd aane pe sab ko sonā hai

    chashm-e-zarKHez ka hi rona hai

    sab ko aankhon mein KHwab bona hai

    itne pani mein dub jaega

    man ke aangan ko bas bhigona hai

    ek duniya hai manzil-e-maqsud

    ek duniya hai jis ko Dhona hai

    kisi tufan ko na-KHuda kar ke

    kisi kashti ko par hona hai

    wo tasawwur bhi hai haqiqat bhi

    us ko pana bhi us ko khona hai

    oDhna kya hai aur bichhauna kya

    nind aane pe sab ko sona hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now