chashm-o-abru ne kiye yar ke bismil do-chaar
chashm-o-abrū ne kiye yaar ke bismil do-chār
ishq-e-mizhgāñ meñ hue vaar ke qābil do chaar
ġhamza-o-nāz-o-adā shoḳhī-o-bebākī-o-husn
ek hī jurm-e-gunah meñ hue qātil do-chār
kabhī gul khaa.e kisī ne kuñ.eñ jhāñkā koī
aariz o chāh-e-zaqan meñ jo hue til do-chār
hasrat-e-bosa-e-ruḳhsār ne maarā mujh ko
ta.aziyat is liye karte haiñ anādil do-chār
chashm-o-abru ne kiye yar ke bismil do-chaar
ishq-e-mizhgan mein hue war ke qabil do chaar
ghamza-o-naz-o-ada shoKHi-o-bebaki-o-husn
ek hi jurm-e-gunah mein hue qatil do-chaar
kabhi gul khae kisi ne kunen jhanka koi
aariz o chah-e-zaqan mein jo hue til do-chaar
hasrat-e-bosa-e-ruKHsar ne mara mujh ko
taziyat is liye karte hain anadil do-chaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.