chashm-o-gosh pe pahre hain
chashm-o-gosh pe pahre haiñ
andhe haiñ sab bahre haiñ
dukh kī āñkheñ niilī haiñ
dukh ke baal sunahre haiñ
naqsh abhī hai ḳhaal tirā
rañg bhī tere gahre haiñ
merā koī naam nahīñ
jaane kitne chehre haiñ
ma.anī par koī qaid nahīñ
lafzoñ par kyuuñ pahre haiñ
dhyān ke ras meñ Duube lab
bosa bosa chehre haiñ
ashkoñ kī bārish hogī
dukh ke bādal gahre haiñ
ghar kā rasta bhūle 'mus.haf'
ik hotel meñ Thahre haiñ
chashm-o-gosh pe pahre hain
andhe hain sab bahre hain
dukh ki aankhen nili hain
dukh ke baal sunahre hain
naqsh abhi hai KHal tera
rang bhi tere gahre hain
mera koi nam nahin
jaane kitne chehre hain
mani par koi qaid nahin
lafzon par kyun pahre hain
dhyan ke ras mein Dube lab
bosa bosa chehre hain
ashkon ki barish hogi
dukh ke baadal gahre hain
ghar ka rasta bhule 'mushaf'
ek hotel mein Thahre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.