chashm o lab kaise hon ruKHsar hon kaise tere
chashm o lab kaise hoñ ruḳhsār hoñ kaise tere
ham ḳhayāloñ meñ banāte rahe naqshe tere
tere sāvañt ko suulī kī zabāñ chaaT ga.ī
jism abhī garm thā aur baal the giile tere
kyā kahūñ kyā tire afsurda diloñ par guzrī
kaise tārāj hue ā.īna-ḳhāne tere
ab kahāñ dekhne vāloñ ko yaqīñ aa.egā
bāġh-e-jannat thā badan ḳhvāb the bose tere
chashm o lab kaise hon ruKHsar hon kaise tere
hum KHayalon mein banate rahe naqshe tere
tere sawant ko suli ki zaban chaT gai
jism abhi garm tha aur baal the gile tere
kya kahun kya tere afsurda dilon par guzri
kaise taraj hue aaina-KHane tere
ab kahan dekhne walon ko yaqin aaega
bagh-e-jannat tha badan KHwab the bose tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.