chehra bujha bujha sa badan zard zard hai
chehra bujhā bujhā sā badan zard zard hai
aalam tamām tā-ba-ufuq gard gard hai
amn-o-sukūn-e-qalb abas DhūñDhte haiñ aap
vo daur hai ki said-e-balā fard fard hai
aa.e kahāñ se zor-o-kashish jazb-e-ishq meñ
jab ḳhud mizāj husn kā kuchh sard sard hai
sad mushkilāt aur masā.ib ke bāvajūd
sābit-qadam rahā jo vahī mard mard hai
kuchh rah gayā na ranj-o-masarrat meñ imtiyāz
'hasrat' ḳhushī ḳhushī hai na ab dard dard hai
chehra bujha bujha sa badan zard zard hai
aalam tamam ta-ba-ufuq gard gard hai
amn-o-sukun-e-qalb abas DhunDhte hain aap
wo daur hai ki said-e-bala fard fard hai
aae kahan se zor-o-kashish jazb-e-ishq mein
jab KHud mizaj husn ka kuchh sard sard hai
sad mushkilat aur masaib ke bawajud
sabit-qadam raha jo wahi mard mard hai
kuchh rah gaya na ranj-o-masarrat mein imtiyaz
'hasrat' KHushi KHushi hai na ab dard dard hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.