chehra hua main aur meri taswir hue sab
chehra huā maiñ aur mirī tasvīr hue sab
maiñ lafz huā mujh meñ hī zanjīr hue sab
buniyād bhī merī dar-o-dīvār bhī mere
ta.amīr huā maiñ ki ye ta.amīr hue sab
vaise hī likhoge to mirā naam bhī hogā
jo lafz likhe vo mirī jāgīr hue sab
marte haiñ magar maut se pahle nahīñ marte
ye vāqi.a aisā hai ki dil-gīr hue sab
vo ahl-e-qalam sāya-e-rahmat kī tarah the
ham itne ghaTe apnī hī ta.azīr hue sab
us lafz kī mānind jo khultā hī chalā jaa.e
ye zāt-o-zamāñ mujh se hī tahrīr hue sab
itnā suḳhan-e-'mīr' nahīñ sahl ḳhudā ḳhair
naqqād bhī ab mo'taqid-e-'mīr' hue sab
chehra hua main aur meri taswir hue sab
main lafz hua mujh mein hi zanjir hue sab
buniyaad bhi meri dar-o-diwar bhi mere
tamir hua main ki ye tamir hue sab
waise hi likhoge to mera nam bhi hoga
jo lafz likhe wo meri jagir hue sab
marte hain magar maut se pahle nahin marte
ye waqia aisa hai ki dil-gir hue sab
wo ahl-e-qalam saya-e-rahmat ki tarah the
hum itne ghaTe apni hi tazir hue sab
us lafz ki manind jo khulta hi chala jae
ye zat-o-zaman mujh se hi tahrir hue sab
itna suKHan-e-'mir' nahin sahl KHuda KHair
naqqad bhi ab mo'taqid-e-'mir' hue sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.