qudrat-e-haq hai sabahat se tamasha hai wo ruKH
qudrat-e-haq hai sabāhat se tamāshā hai vo ruḳh
ḳhāl-e-mushkīñ dil-e-fir.auñ yad-e-baizā hai vo ruḳh
nuur jo us meñ hai ḳhurshīd meñ vo nuur kahāñ
ye agar husn kā chashma hai to dariyā hai vo ruḳh
phūTe vo aañkh jo dekhe nigah-e-bad se use
ā.īne se dil-e-ārif ke musaffā hai vo ruḳh
bazm-e-ālam hai tavajjoh se usī ke ābād
shahr vīrāñ hai agar jānib-e-sahrā hai vo ruḳh
sāmrī chashm-e-fusūñ-gar kī fusūñ-sāzī se
lab-e-jāñ-baḳhsh ke hone se masīhā hai vo ruḳh
dam-e-nazzāra laḌe marte haiñ āshiq us par
daulat-e-husn ke pesh aane se duniyā hai vo ruḳh
saaya karte haiñ humā uḌ ke paroñ se apne
tere ruḳhsār se dilchasp ho anqā hai vo ruḳh
gul ġhalat laala ġhalat mahr ġhalat maah ġhalat
koī saanī nahīñ lā-sānī hai yaktā hai vo ruḳh
kaun sā us meñ takalluf nahīñ paate har-chand
na murassā na mozahhab na mutallā hai vo ruḳh
ḳhāl-e-hindū haiñ parastish ke liye aa.e haiñ
putliyāñ āñkhoñ kī do but haiñ kalīsā hai vo ruḳh
kaun sā dil hai jo dīvāna nahīñ hai us kā
ḳhat-e-shab-rañg se sarmāya-e-saudā hai vo ruḳh
us ke dīdār kī kyūñ-kar na hoñ āñkheñ mushtāq
dil-rubā shai hai ajab sūrat-e-zebā hai vo ruḳh
tā-kujā sharh karūñ husn ke us ke 'ātish'
mahr hai maah hai jo kuchh hai tamāshā hai vo ruḳh
qudrat-e-haq hai sabahat se tamasha hai wo ruKH
KHal-e-mushkin dil-e-firaun yad-e-baiza hai wo ruKH
nur jo us mein hai KHurshid mein wo nur kahan
ye agar husn ka chashma hai to dariya hai wo ruKH
phuTe wo aankh jo dekhe nigah-e-bad se use
aaine se dil-e-arif ke musaffa hai wo ruKH
bazm-e-alam hai tawajjoh se usi ke aabaad
shahr viran hai agar jaanib-e-sahra hai wo ruKH
samri chashm-e-fusun-gar ki fusun-sazi se
lab-e-jaan-baKHsh ke hone se masiha hai wo ruKH
dam-e-nazzara laDe marte hain aashiq us par
daulat-e-husn ke pesh aane se duniya hai wo ruKH
saya karte hain huma uD ke paron se apne
tere ruKHsar se dilchasp ho anqa hai wo ruKH
gul ghalat lala ghalat mahr ghalat mah ghalat
koi sani nahin la-sani hai yakta hai wo ruKH
kaun sa us mein takalluf nahin pate har-chand
na murassa na mozahhab na mutalla hai wo ruKH
KHal-e-hindu hain parastish ke liye aae hain
putliyan aankhon ki do but hain kalisa hai wo ruKH
kaun sa dil hai jo diwana nahin hai us ka
KHat-e-shab-rang se sarmaya-e-sauda hai wo ruKH
us ke didar ki kyun-kar na hon aankhen mushtaq
dil-ruba shai hai ajab surat-e-zeba hai wo ruKH
ta-kuja sharh karun husn ke us ke 'atish'
mahr hai mah hai jo kuchh hai tamasha hai wo ruKH
- Book : https://rekhta.org/ebooks/kulliyat-e-aatish-haidar-ali-aatish-ebooks?lang=Ur (Pg. Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish)
- Author : Haidar Ali Aatish
- Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
- Edition : 114
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.