chehra udas udas tha maila libas tha
chehra udaas udaas thā mailā libās thā
kyā din the jab ḳhayāl-e-tamannā libās thā
uryāñ zamāna-gīr sharar-gūñ jibillateñ
kuchh thā to ek barg-e-dil un kā libās thā
us moḌ par abhī jise dekhā hai kaun thā
sambhalī huī nigāh thī saada libās thā
yādoñ ke dhuñdle des khilī chāñdnī meñ raat
terā sukūt kis kī sadā kā libās thā
aise bhī log haiñ jinheñ parkhā to un kī ruuh
be-pairahan thī jism sarāpā libās thā
sadiyoñ ke ghaaT par bhare meloñ kī bhiiḌ meñ
ai dard-e-shādmāñ tirā kyā kyā libās thā
dekhā to dil ke sāmne sāyoñ ke jashn meñ
har aks-e-ārzū kā anokhā libās thā
'amjad' qabā-e-shah thī ki cholā faqīr kā
har bhes meñ zamīr kā pardā libās thā
chehra udas udas tha maila libas tha
kya din the jab KHayal-e-tamanna libas tha
uryan zamana-gir sharar-gun jibillaten
kuchh tha to ek barg-e-dil un ka libas tha
us moD par abhi jise dekha hai kaun tha
sambhali hui nigah thi sada libas tha
yaadon ke dhundle des khili chandni mein raat
tera sukut kis ki sada ka libas tha
aise bhi log hain jinhen parkha to un ki ruh
be-pairahan thi jism sarapa libas tha
sadiyon ke ghaT par bhare melon ki bhiD mein
ai dard-e-shadman tera kya kya libas tha
dekha to dil ke samne sayon ke jashn mein
har aks-e-arzu ka anokha libas tha
'amjad' qaba-e-shah thi ki chola faqir ka
har bhes mein zamir ka parda libas tha
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 371)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.