chehre ke KHad-o-Khaal mein aaine jaDe hain
chehre ke ḳhad-o-ḳhāl meñ ā.īne jaḌe haiñ
ham 'umr-e-gurezāñ ke muqābil meñ khaḌe haiñ
har saal nayā saal hai har saal gayā saal
ham uḌte hue lamhoñ kī chaukhaT pe paḌe haiñ
dekhā hai ye parchhā.īñ kī duniyā meñ ki aksar
apne qad-o-qāmat se bhī kuchh log baḌe haiñ
shāyad ki mile zaat ke zindāñ se rihā.ī
dīvār ko chāTā hai havāoñ se laḌe haiñ
uḌte haiñ parinde to yahāñ jhiil bhī hogī
taptā hai bayābān-e-badan kos kaḌe haiñ
shāyad koī 'īsā-nafas aa.e unheñ pūchhe
ye lafz jo be-jān se kāġhaz pe paḌe haiñ
is baat kā mafhūm maiñ samjhā nahīñ 'aḳhtar'
tasvīr meñ sāhil pe ka.ī kachche ghaḌe haiñ
chehre ke KHad-o-KHal mein aaine jaDe hain
hum 'umr-e-gurezan ke muqabil mein khaDe hain
har sal naya sal hai har sal gaya sal
hum uDte hue lamhon ki chaukhaT pe paDe hain
dekha hai ye parchhain ki duniya mein ki aksar
apne qad-o-qamat se bhi kuchh log baDe hain
shayad ki mile zat ke zindan se rihai
diwar ko chaTa hai hawaon se laDe hain
uDte hain parinde to yahan jhil bhi hogi
tapta hai bayaban-e-badan kos kaDe hain
shayad koi 'isa-nafas aae unhen puchhe
ye lafz jo be-jaan se kaghaz pe paDe hain
is baat ka mafhum main samjha nahin 'aKHtar'
taswir mein sahil pe kai kachche ghaDe hain
- Book : Dariche (Pg. 13)
- Author : Bashir Saifi
- Publication : Shakhsar Publishers (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.