chehre pe ayan karb ka manzar nahin dekha
chehre pe ayan karb ka manzar nahin dekha
Mohammad Salahuddin Taskeen
MORE BYMohammad Salahuddin Taskeen
chehre pe ayaañ karb kā manzar nahīñ dekhā
logoñ ne mire dil meñ utar kar nahīñ dekhā
maujoñ ke thapeḌoñ kī use kaise ḳhabar ho
sahrā ke musāfir ne samundar nahīñ dekhā
pastī meñ jo le aa.ī mujhe gardish-e-daurāñ
ūñchā.ī pe phir apnā muqaddar nahīñ dekhā
kyoñ tank se topoñ se Darāte ho hamesha
kyā tum ne abābīloñ kā lashkar nahīñ dekhā
dīvālī manāte rahe 'taskīn' sabhī log
afsos mirā jaltā huā ghar nahīñ dekhā
chehre pe ayan karb ka manzar nahin dekha
logon ne mere dil mein utar kar nahin dekha
maujon ke thapeDon ki use kaise KHabar ho
sahra ke musafir ne samundar nahin dekha
pasti mein jo le aai mujhe gardish-e-dauran
unchai pe phir apna muqaddar nahin dekha
kyon tank se topon se Daraate ho hamesha
kya tum ne ababilon ka lashkar nahin dekha
diwali manate rahe 'taskin' sabhi log
afsos mera jalta hua ghar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.