chehre shadabi se aari aankhen nur se Khaali hain
chehre shādābī se aarī āñkheñ nuur se ḳhālī haiñ
kis ke aage haath baḌhā.ūñ saare haath savālī haiñ
mujh se kis ne ishq kiyā hai kaun mirā mahbūb huā
mere sab afsāne jhūTe saare sher ḳhayālī haiñ
chāñd kā kaam chamakte rahnā us zālim se kyā kahnā
kis ke ghar meñ chāñdnī chhiTkī kis kī rāteñ kaalī haiñ
'sahbā' us kūche meñ na jaanā shāyad patthar ban jaao
dekho us sāhir kī galiyāñ jaadū karne vaalī haiñ
chehre shadabi se aari aankhen nur se KHali hain
kis ke aage hath baDhaun sare hath sawali hain
mujh se kis ne ishq kiya hai kaun mera mahbub hua
mere sab afsane jhuTe sare sher KHayali hain
chand ka kaam chamakte rahna us zalim se kya kahna
kis ke ghar mein chandni chhiTki kis ki raaten kali hain
'sahba' us kuche mein na jaana shayad patthar ban jao
dekho us sahir ki galiyan jadu karne wali hain
- Book : Sarkashidah (Pg. 230)
- Author : Sahba Akhtar
- Publication : Maktaba-e-Nadeem ke airia ko rangi Karachi (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.